SHAB E QADAR

SHAB E QADAR




NABI E KAREEM Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Sabeqa (Previous) Ummato Ki Umren(Life Span/Ages) (Jo Taqreeban Hazaar Saal Tak Ki Thi) Dikhayi Gayi Ya Is Baare Mein Jo ALLAH TA'LA Ne Chaha Dikhaya,
Toh Goya HUZOOR Sallallahu Alaihi Wasallam Ne (Sabeqa Ummatou Ke Muqable Me Apni Ummat Ki Kam Umrou Ka Khayal Karte Hue Socha Ke Kya Meri Ummat Is Qadar Naek Amaal Karsakegi Jis Qadar Dusri Ummatoun Ke Logon Ne Lambi Umar Ki Wajeh Se Kiye) ,
Toh ALLAH TA'LA Ne HUZOOR Sallallahu Alaihi Wasallam Ko SHAB E QADAR Ataa Farmayi Jo Hazaar Mahino Se Bhi Afzal (Behtar) Hai.
*(Ref: Shubul Imaan, Hadith No:3667)*
~Woh Shakhs Bada Hi Badnaseeb Hai Jisne RAMZAN Ka Mahina Paaya Lekin Uski Baqshish Na Hui, Agar Uski (Maghfirat) Iske Mahine Mein Bhi Na Hui Toh Phir Kab Hogi?
*(Ref: Al Moujamul Aousat)*

~Beshak Hum Ne Is (Quraan) Ko Shab E Qadar Mein Nazil Kiya,
Tumhe Kya Maloom Ke Shab E Qadar Kya Hai?
Shab E Qadar Hazaar Mahino Se Behtar Hai,
Is (Raat) Farishte Aur Ruhul (Ameen) Apne Rab Ke Hukum Se Har Kaam (Ke Intezaam) Ke Liye (Zameen Par) Utarte Hain,
Woh (Raat Sarapa Aman Wo) Salamati Hai,
Aur Woh Raat Subah Hone Tàk (Apni Barkato Ke Saath) Rehti Hai. *(Surah Al Qadar:1/5)*
~NABI E KAREEM Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya:
Jab Shab E Qadar Hoti Hai Toh Jibreel Alaihissalaam Farishton Ki Ek Jamaat Ke Saath (Zameen Par) Utarte Hain Aur Har Us Bande Ke Liye Dua E Maghfirat Karte Hain, Jo Khade Hokar Ya Baith Kar ALLAH Ki Yaad (Aur Ibadat) Me Masroof Rehta Hai.
*(Ref: Shubul Imaan,Hadith No:3562)*
~HUZOOR Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya:
Yaqinan ALLAH TAALA Ne LAILA TUL QADAR Meri Ummat Hi Ko Ataa Ki Hai, Is Se Pehle Kisi Ummat Ko Ye Ataa Nahi
*(Ref: Sunan E Dailami,Hadith No:647)


Post a Comment

0 Comments