WALI-E-KAMIL KI NAZAR-E-KAMIL वली ए कामिल की नज़र ए कामिल



WALI E KAMIL KI NAZAR E KAMIL


Jab Sultanul Aarefin Hazrat Sultan Bahoo RadiyallahuAnhu Ki Nazre Wilayat Se Gair Musalmano Ke Qaboole Islam Ke Waqiat Kai Martaba Pesh Aaye To Maqami Gair Musalmano Me Khalbali Mach Gayi,Chunache Wo Sab Hazrat Baazid Muhammad RadiyallahuAnhu Ki Khidmat Me Hazir Ho Kar Aapke Sahibzade Hazrat Sultan Bahoo Ki Shikayat Karne Lage.

Waalide Maajid Ne Puchha Aakhir Mere Bacche Ka Qasoor Kya Hai ?
Ye To Bahot Chhota Hai, Kisi Par Hath Uthane Ke Qabil Bhi Nahi Hai.
Ek Shakhs Ne Kahan Agar Hath Utha Leta To Jyada Accha Tha.
Waalide Maajid Ne Hairan Ho Kar Puchha Fir Kya Gilaa Hai ?
Unke Sarbarah Ne Kahan
Aap Ka Baccha Hum Me Se Jise Bhi Nazar Bhar Kar Dekh Leta Hai Wo Musalman Ho Jata Hai,

Iski Wajah Se Sorkot Ke Logo Ka Aabai Mazhab Khatre Me Pad Gaya Hai.

Badi Ajeeb Shikayat Thi
Waalide Maajid Kuchh Der Sochte Rahe Fir Farmaya Ab Tum Hi Batao Ki Mai Is Silsile Me Kya Kar Sakta Hu ?


Kisi Ke Mazhab Tabdil Kar Lene Me Mere Bete Ka Kya Qasoor ? Kis Tarah Ise Nazar Utha Kar Dekhne Se Baaz Rakh Sakta Hu ?


Sarbarah Ne Kahan Qasoor To Bacche Ki Daai Ka Hai, Jo Ise Waqt BeWaqt Bazar Le Jaati Hai, Aapse Ye Guzarish Hai Ki Aap Bacche Ki Sair Ke Liye Ek Waqt Mukarrar Kar De.
BilAakhir Hazrat Baazid Muhammad RadiyallahuAnhu Ne Sakhti Ke Sath Daai Ko Hidayat Kardi Ki Wo Ek Mukarrar Waqt Par Hazrat Sultan Bahoo Ko Baahar Le Jaya Kare.
Iske Baad Shahar Ke Gair Musalmano Ne Us Kaam Par Chand Naukar Rakh Liye Ki Jab Sultan Bahoo Apne Ghar Se Nikle To Bazaro Aur Gali Kucho Me Unki Aamad Ki Khabar Pohchadi Jaye,
Lihaza Jab Naukar Khabar Dete To Gair Muslim Apni Apni Dukano Aur Makano Me Chhup Jate."
>Faizan'e Sultan Bahoo Page : 8 




 वली ए कामिल  की  नज़र  ए  कामिल 


जब  सुल्तानुल  आरेफ़िन  हज़रत  सुल्तान  बाहू (रदीयल्लाहुअन्हु)  की  नज़रे  विलायत  से  गैर  मुसलमानो  के  कबूले इस्लाम  के  वाकिआत  कई  मर्तबा  पेश  आये  तो  मक़ामी  गैर  मुसलमानो  में  खलबली  मच  गयी ,
चुनाचे  वो  सब  हज़रत  बाजीद  मुहम्मद  (रदीयल्लाहुअन्हु)  की  ख़िदमत में  हाज़िर  हो  कर  आप के  साहिबज़ादे  हज़रत  सुल्तान  बाहू  की  शिकायत  करने  लगे .
वालिदे  माजिद  ने  पूछा  आखिर  मेरे  बच्चे  का  क़सूर  क्या  है  ?
ये  तो  बहोत  छोटा  है , किसी  पर  हाथ  उठाने  के  क़ाबिल  भी  नहीं  है .
एक  शख्स  ने  कहाँ  अगर  हाथ  उठा  लेता  तो  ज्यादा  अच्छा  था .
वालिदे  माजिद  ने  हैरान  हो  कर  पूछा  फिर  क्या  गीला  है i ?
उन के  सरबराह  ने  कहाँ
आप  का  बच्चा  हम  में  से  जिसे  भी  नज़र  भर  कर  देख  लेता  है  वो  मुस्लमान  हो  जाता  है ,
इस की  वजह  से  शोरकोट  के  लोगो  का  आबै  मज़हब  खतरे  में  पद  गया  है .
बड़ी  अजीब  शिकायत  थी
वालिदे  माजिद  कुछ  देर  सोचते  रहे  फिर  फ़रमाया  अब  तुम  ही  बताओ  की  मैं  इस  सिलसिले  में  क्या  कर  सकता  हूँ ?
किसी  के  मज़हब  तब्दील  कर  लेने  में  मेरे  बेटे  का  क्या  क़सूर  ? किस  तरह  इसे  नज़र  उठा  कर  देखने  से  बाज़  रख  सकता  हूँ  ?
सरबराह  ने  कहाँ  क़सूर  तो  बच्चे  की  दाई  का  है , जो  इसे  वक़्त  बेवक़्त  बाजार  ले  जाती  है , आप से  ये  गुज़ारिश  है  की  आप  बच्चे  की  सैर  के  लिए  एक  वक़्त  मुक़र्रर  कर  दे .
बिलाखिर  हज़रत  बाजीद  मुहम्मद  (रदीयल्लाहुअन्हु ) ने  सख्ती  के  साथ  दाई  को  हिदायत  करदी  की  वो  एक  मुक़र्रर  वक़्त  पर  हज़रत  सुल्तान  बाहू  को  बाहर  ले  जाया  करे .
इस के  बाद  शहर  के  गैर  मुसलमानो  ने  उस  काम  पर  चाँद  नौकर  रख  लिए  की  जब  सुल्तान  बाहू  अपने  घर  से  निकले  तो  बाज़ारो  और  गली  कुछो  में  उनकी  आमद  की  खबर  पोहुचा दी   जाये ,
लिहाज़ा  जब  नौकर  खबर  देते  तो  गैर  मुस्लिम  अपनी  अपनी  दुकानों  और  मकानों  में  छुप  जाते ."
>Faizan'e Sultan Bahoo Page : 8 


Post a Comment

0 Comments