Hazrat Ali (Radi Allaho Taala Anho)

Teen Log Teen Cheezon Se Mehroom Rahenge;
1) Gusse Waala,Durust Faisle Se
2) Jhoota,Izzat Se
3) Jald Baaz,Kaamyabi Se. [Hazrat Ali] Hazrat ALI (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai,

"Ki RASOOL ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, "Tum Me Se Koi Shaksh Aisa

Nahi Hai, Jiska Jannat Ya Dozakh Ka Thikana Taye Nahi Ho Chuka Ho. SAHABA Ne Arz Kiya, "Ki
Phir Kyu Na Hum Usi Par Bharosa Kar Le?" RASOOL ALLAH (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya,
"Amal Karte Raho Kyu Ki, Har Shaksh Jis Thikane Ke Liye Paida Kiya Gaya Hai Usko Waise Hi Taufiq Di Jayegi. . (Sahih Bukhari)

  Us Waqt Tak Koi Faisla Na Karo, Jab Tak Tumhare Khoon Ki Gardish Aur Dil Ke Dharkan Par sakoon Na ho Jaye. Us Chirag Ki Tarah Bano, Jo Gareeb Ki Jhonpadi Me Bhi, Utni Hi Roshni Deta Hai, Jitni Roshni Ek Baadshah Ke Mahal Me Deta Hai.

Kya Aap Jaante Hain ?
Hazrat Maula ALI Mushkil Kusha Radi ALLAHU Ta'ala Anhu Ne Jis Khaiber Ke Darwaze Ko Ek Hath Se Ukhaad Kar Phenk Diya Tha Us Darwaze Ka Vajan 16000 Kg Tha.
Taarikh-e-Khaibar, Safa No-51

Post a Comment

0 Comments