दरूद शरीफ की फ़ज़ीलत, Durood Sharif Ki Fazilat :-



 रसूल -ए-करीम (صلى الله عليه و سلم) ने फ़रमाया :



जुमा के दिन और शबे जुमा में मुझ पर दुरूद कसरत से भेजा करो,
क्यूंकि जो शख्स ऐसा करेगा मैं क़ियामत के दिन उसके लिए गवाह और सिफारशी हूँगा >Kanz-ul-Ummal:V.1,Page.489




Rasool-E-Kareem (صلى الله عليه و سلم) Ne Farmaya:


Juma Ke Din aur Shabe Juma Mein Mujh Par Durood Kasrat Se Bheja Karo,

Kyunke Jo Shakhs Aaisa Karega Main Qiyamat Ke Din 

Uske Liye Gawah aur Sifarshi 

Hunga >Kanz-ul-Ummal:V.1,Pg.489






 रसूल -ए-करीम (صلى الله عليه و سلم) ने फ़रमाया :



हज़रत जिब्राइल-ए-अमीन अभी मेरे पास तशरीफ़
लए थे,
उन्होंने अल्लाह ता’अला की तरफ से मुझे ये बशारत दी है के
" जो आप पर दुरूद पढ़ेगा, मैं उस पर रेहमत नाज़िल करूँगा",
" और जो आप पर सलाम भेजेगा में सलाम के साथ उसका जवाब दूंगा" | < मिश्कात शरीफ



Rasool-E-Kareem (صلى الله عليه و سلم) Ne Farmaya :


Hazrat Jibrail-e-Ameen Abhi Mere Paas Tashrif Laye They,  Unhone Allah Ta’ala Ki Taraf Se Mujhe 

Ye Basharat Di Hai Ke

“Jo Aap Par Durood Padega, Mai Uspar Rehmat Nazil Karunga”


“Aur Jo Aap Par Salaam Bhejega Me Salaam Ke Sath Uska Jawaab Dunga”>>Mishkat Sharif






Post a Comment

2 Comments

  1. Masha Allah bhot achi baat h. Allah apko jaza de or hume amal karne ki tofiq de
    https://islamicnelofarazhari.com

    ReplyDelete
  2. Jazak Allahu khairan kasira
    Beshakh Darood pak Dil ka Sukoon hai aur har marz ka ilaj

    ReplyDelete