AURATON KO TAALEEM KYUN?


AURATON KO TAALEEM KYUN?


Sarkare Madeena Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Irshad Farmaya,

"HAR MUSALMAAN PAR QAAH MARD HO YA AURAT ILM HAASIL KARNA FARZ HAI."
>SUNANA IBNE MAAJ-JAH

Iss Farmaan ke bawajood Bahut Log Aaj Bhi Ladkiyon ki Taaleem Dilane me Hichkichahat Mehsoos Karte Hain. Shaayed Wo Bhool jaate Hain K

"AULAD KI PARWARISH KA BEHTAREEN TARBIYAT GAAH MAA KI AAGHOSH HAI"
"MAA KI GOAD(LAP) AULAAD KA PEHLA MADARSA HAI"

AqlaaQ Wo Kirdaar Ko Muzayyan Karne Ka Sunhera Waqt BACHPAN Ka Hota Hai. Iss Liye Maa Bachche Ki Taaleem Ke saath Saath Uske Seerat-o-Kirdaar Par Bhi Tawajjo Deti Hai.

Isi Liye Mohsin-e-Insaniyat Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ne Auroton Ki Taleem Wa Tarbiyat Ki Taraf Tawajjo Dilayi Aur Farmaya,
"JISKO ALLAH NE BETI DI WO USKI TARBIYAT KARE, USSE BEHTAR TAALEEM DILAYE. ALLAH KI JO NEAMATEN USSE MAYASSAR HAIN UNHE APNI BETI PAR DIL KHOL KAR KHARCH KARE, TOU YE USKE HAQ ME JAHANNUM ME DHAAL BAN JAYEGI" (AL MOJAMUL KABEER)

Ab Sawaal Ye Paida Hota Hai ke "KYA AURAT KO ASRI TAALEEM KI ZAROORAT HAI?
Jawaab Me HAAN Hi Kehna Padhega. Kyun Ki

"AGAR AURAT DOCTOR NA HO TOU AURATEN MARDON SE ILAAJ KARNE PAR MAJBOOR HONGI AUR NA CHAHTE HOYE BHI JISM KE QAAS HISSE KO KHOLNA PADHEGA AUR UNHE CHHUNE AUR DEKHNE KI IJAAZAT DENI PADHEGI"

To Mere Dosto Agar Aap Se Ho Sake Tou Auraton Ke Liye Alag Se Engineering, Medical Colleges Aur Degree Colleges Establish Karo Taaki Hamari Bachchiyan Deeni Mahol Me Asri Taleem Hasil Kar Sake.
Mahboob



औरतों  को  तालीम  क्यों ?

सरकारे  मदीना  (सल्लल्लाहु  अलैहि  वसल्लम ) ने  इरशाद  फ़रमाया ,
"हर  मुसलमान  पर  काह  मर्द  हो  या  औरत  इल्म  हासिल  करना  फ़र्ज़  है ."
>सुनन  इब्ने  माज-जह 

इस  फरमान  के  बावजूद  बहुत  लोग  आज  भी  लड़कियों  की  तालीम  दिलाने  में  हिचकिचाहट         महसूस  करते  हैं . शायद  वो  भूल  जाते  हैं  के 
"औलाद  की  परवरिश  का  बेहतरीन  तरबियत  गाह  माँ  की  आघोश  है "
"माँ  की  गोद (LAP) औलाद  का  पहला  मदरसा  है "

अखलाक़ वो  किरदार  को  मुज़य्यन  करने  का  सुन्हेरा  वक़्त  बचपन  का  होता  है . इस  लिए  माँ  बच्चे  की  तालीम  के  साथ  साथ  उसके  सीरत -ओ -किरदार  पर  भी  तवज्जो  देती  है .
इसी  लिए  मोहसिन -ए -इंसानियत  (सल्लल्लाहु  अलैहि  वसल्लम)  ने  औरोतों  की  तालीम  व  तरबियत  की  तरफ  तवज्जो  दिलाई  और  फ़रमाया ,

"जिसको  अल्लाह  ने  बेटी  दी  वो  उसकी  तरबियत  करे , उससे  बेहतर  तालीम  दिलाये. अल्लाह  की  जो  नेअमतें  उससे  मयस्सर  हैं  उन्हें  अपनी  बेटी  पर  दिल  खोल  कर  खर्च  करे , तो  ये  उसके  हक़  में  जहन्नुम  में  ढाल  बन जाएगी " >अल  मोजमुल  कबीर 

अब  सवाल  ये  पैदा  होता  है  के  "क्या  औरत  को  असरि  तालीम  की  ज़रुरत  है ?
जवाब  में  हाँ  ही  कहना  पढ़ेगा . क्यों  की 
"अगर  औरत  डॉक्टर  न  हो  तो  औरतें  मर्दों  से  इलाज  करने  पर  मजबूर  होंगी  और न  चाहते  होये  भी  जिस्म  के  कास  हिस्से  को  खोलना  पढ़ेगा  और  उन्हें  छूने  और  देखने  की  इजाज़त  देनी  पढ़ेगी "

तो  मेरे   दोस्तों  अगर  आप  से  हो  सके  तो  औरतों  के  लिए  अलग  से  इंजीनियरिंग , मेडिकल  कॉलेजस  और  डिग्री  कॉलेजस  एस्टेब्लिश  करो  ताकि  हमारी  बच्चियां  दीनी  माहौल  में  असरि  तालीम  हासिल  कर  सके .
महबूब 

Post a Comment

0 Comments