Shohar Ki Napasandida Baato Se Doori Ikhtiyar Kare ….
» Hadees : Kisi Padosi Ya Saheli Ko Apne Shohar Ki Ijazat Ke Bagair Ghar Me Na Aane De !
Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Fermaya, “Shohar Ki Gair Hajiri Me Ghar Me Kisi Aiyse Shaks Ko Na Aane Do Jisey Shohar Na-Pasand Karta Ho”.>Sahi Muslim 2186-@[156344474474
» Sabaq : Yaad Rahe Aurto Se Jyada Shohar Ko Malumat Hoti Hai Apney Aaspas Ke Logon Ki. Aur Wo Unki Seerat Se Bakhubi Bakhabar Hota Hai, Shohar Ne Unhe Jin Aurto Ya Aaspas Ke Logon Se Door Rehne Ka Hukm Kiya Wo Yakinan Iss Kabil Honge Ke Kisi Ke Riste Me Darrar Paida Karne Walo Me Se Ho. Aur Shohar Ko Pata Ho Iss Lihaz Se Ke Wo Aapse Pehle Se Uss Padosi Ko Janta Hai, Lihaza Aurto Ko Chahiye Ke Aise Logon Se Doori Ikhtiyar Kare Jinhe Apka Shohar Napasand Karta Ho.
0 Comments