Sahaba-E-Kiram aur Mohobbate Rasool Nabi-E-Karim Swalallaho alayhi wasallam

Sahabi-E-Rasool: Sahabi unhe kaha jata he jinhone pyare aaqa Swallalaho alayhi wasallam ko dekha he. (yani aapke mubarak zamane ke log)Sahaba-e-kiram apne pyare aaqa se jo mohobbat rakhte the wo puri qaynat ke liye ek misal he.To aaiye hum Hadees-E-pak ki roshni me unki is mohobbat ko jante he.Hazrat urvah bin mas'ud radiallaho anhu (jub wo musalman nahi hue the) mushrekinne Makka ki taraf se sulah ki guftagu karne Hudaibiya ke mukam par madani Aaqa Swallalaho alayhi wasallam se milne aaye the. is mauke par un logo ne sahaba ka apne aaqa ke liye jo manzar dekha tha , wapasi ke bad mushrekin Makka ko sunate he:Kasam Khuda ki ! me badshah ke darbar mewafad lekar gaya hu , me Kaisar wa Kisra aur Najjashi badshaho ke darbar me hajir hua hu.Lekin mene koi badshah aisa nahi dekha keuske sathi is tarah Tazim karte he jaise Muhammad Swallalaho alayhi wasallam ke sathi unki Tazim karte he.Jab wo thukte he to unka thuk kisi na kisi aadmi ki hatheli par hi girta he. jise wo apne badan aur chehre par mal lete he. aur jub Aaqa koi huqm dete he to fauran uski tamil hoti he.Jab Madani Aaqa Swallalaho alayhi wasallam Wuzoo farmate he to aisa malumhota he ke wuzoo ka musta'amil pani hasil karne ke liye log ladne marne par aamda hote he.Aur jub apne Aaqa ki bargah me bat karte he to apni aawazo ko aahista rakhte he aurtaziman unki taraf aankh bhar kar nahi dekhte.(Bukhari Sharif)

Post a Comment

0 Comments