Sab ko Udas Kar ke RAMZAN ja Raha He
Sab Pe Luta Ke Apna FAIZAN Ja Raha He
Aaya Tha Ghar Apne
Kismat Humari Ban Ke
Bheja Tha Jo Khuda Ne Wo Mehman Ja Raha He
AFSOS:
AAZAD HOGA SHAITAN
MASJIDE HOGI WIRAN
ALMARI ME BAND HONGE QUR'AN
GUNAHO ME DUBEGA INSAAN
KYU KE RUKHSAT HOTA HAI
MAH-E-RAMZAN
KITNI JALDI ARMAN GUZAR JATA HAI
PYAS LAGTI NHI DIN GUZAR JATA HAI
HUM GUNAHGARO KI MAGFIRAT KARE ALLAH
IBADAT HOTI NAHI RAMZAN GUZAR JATA HAI
Nekiya Kuch Na Hum Kar Sake Hai
Aah!
Isiyan Me Hi Din Kate Hai
Tujhko Gaflat Me Humne Guzara
ALWADA ALWADA MAHE RAMZAN
ALWADA ALWADA MAHE RAMZAN
DIL TERE AANE SE MOTBAR THE
NOOR ME DOOBE SHAAM O SEHAR THE
TERE JAANE SE DIL RO RAHA HAI
ALWADA MAHE-RAMZAN ALWADA
ALWADA ALWADA MAHE RAMZAN
SEHRI IFTAAR QIR'AT TARAWIH AUR AZAAN E NAMAZEIN O TASBEEH
YE SAMAN NOORI TUJH SE MILA HAI
ALWADA MAHE-RAMZAN ALWADA
ALWADA ALWADA MAHE RAMZAN
JAAM RAHMAT KE TUNE PILAYE
GUL MURADO KE TUNE KHILAYE
TU JUDA HUM SE AB HO RAHA HAI
ALWADA ALWADA MAHE-RAMZAN ALWADA. Haq Teri Ibadat Ka Nahi Humse Hua
Hum Rahe Gaflat Me Tu Ho Raha Humse Juda
Aaj Ro-Ro Ke Keh Raha Hai Muslman
ALWADA ALWADA MAHE RAMZAN
Qalbe aashiq hai ab para para
ALWADA ALWADA MAHE RAMZAN
ulfate hijaro furqat ne mara
ALWADA ALWADA MAHE RAMZAN
Tere aanese dil khush hua tha
or joqe ibadat badha tha
Aah ab dil pe hai gumka galba
ALWADA ALWADA MAHE RAMZAN
Bajme iftar sajti thi kesi khub sehri ki ronak bhi hoti
Ho gaya ab sama suna suna
ALWADA ALWADA MAHE RAMZAN
Jub gujar jaenge mah 11
teri aamad ka fir shor hoga
kya bharosa meri zindgi ka
ALWADA ALWADA MAHE RAMZAN
Wasta tuz ko Pyare Nabika
hashra mai humko mat bhul jana
Roje mehshar hame bakshwana
ALWADA ALWADA MAHE RAMZAN
TUM PAR LAKHO SALAM MAHE RAMZAN
TUM PAR LAKHO SALAM MAHE GUFRAN
JAO HAFIZ KHUDA AB TUMHARA
ALWADA ALWADA MAHE RAMZAN
Aakhari roza hai dil gum nak mujatar jaan hai.
hasarata wa hasarata ab chal diya ramzan hai.
Aashiqane mahe ramzan ro rahe hai fut fut kar
dil bada bechain hai
afsurda ruho jaan hai.
Dastane gum sunae kisko jakar aah hum.
Ya Rasulallah dekho chaldiya ramzan hai.
Waqte iftaro seher ki ronake hogi kaha
chand ghanto ke bad ye sara sama sunsan hai.
Hay sab afsos ramzan ki na humne qadr ki besab hi baksh de ya Rub ke tu rahman hai.
Alwada Alwada Mahe Ramzan
MASALA:
AGAR KOI ZIYADA BIMAR HO JAAYE
TO ROZA TOD SAKTA HAI
QAZA LAAZIM HOGI KAFFARA NAHI.
(BAHAR-E-SHARIAT)
JO RAMZAN ME ROZA RAKH KAR RAMZAN KI BEHURMATIWALE KAAMO ME MASHGUL REHTE HAI
UNKE LIYE DARDNAAK AZAAB HAI.
(FAIZAN-E-RAMZAN JILD.2)
ROZE KI HAALAT ME
YA BAGAIR ROZE KE
TAASH, SHATRANJ, VEDEO-TV,
FILME-DRAME, GAANE-BAAJE
YE SAB BURE KAAM KARNA "HARAAM" HAI.
(FAIZAN-E-RAMZAN J.1)
HUJJATUL-ISLAM IMAAM GAZALI RahemtullaheAlaih:
ROZADAR KE LIYE SUNNAT YE HE KE DIN KE WAQT ZYADA DER NA SOYE JAGTA RAHE
TAKI BHOOK OR KAMZORI KA ASAR MAHSUS HO
MAS'ALA:
Roze Me Khud Ba Khud Kitni Hi Qay (Ulti,Vomiting) Ho Jaye
Usse Roza Nahi Tootta
Agar Janbujh Ke Ki To Roza Toot Jayega
(Raddul Muhtaar)
NEKI Ki Taraf Bulane Wala Bhi NEKI Karne Walo Ki Tarah Hai.
(TIRMIZI)
RAMZAN Ke MAHINE BHAR KI TARAWIH ME EK BAAR QUR'AN KHATM KARNA
SUNNAT-E-MU'QQIDA
HE
&
2 BAAR AFZAL
HE
(QANOON-E-SHARIAT S.143
BAHAR-E-SHARIAT)
JIS NE RAMZAN ME ZINA KIYA
YA
SHARAB PI
TO
AGLE RAMZAN TAK ALLAH KE FARISHTE USPAR LAANAT KARTE HAI
(TIBRANI)
MAS'ALA:
Kuchh Log Kehte Ramzan Ke Aakhiri Juma Ko Kuch Nafil Namaze Padhe To Puri Qaza Namaze Maaf Hoti Ye Bilkul Ghalat He
(Qanoon-E-Shariat Hadees-1)
JO RAMZAN ME ROZA RAKHKAR RAMZAN KI BEHURMATIWALE KAAMO ME MASHGUL REHTE HAI
UNKE LIYE DARDNAAK AZAAB HAI.
(FAIZAN-E-RAMZAN JILD.2)
JO SHAKHS RAMZAN KE AANE KI KHUSHI
AUR
JAANE KA GAM KARE USKE LIYE JANNAT HAI.
ALLAH TA'ALA USE JANNAT ME DAKHIL KAREGA
(A.WAAEZEEN)
3 LOGO KI DUA THUKRAYI NAHI JAATI:
*ROZADAR KI IFTAR KE WAQT
*AADIL BADSHAH KI
*MAZLOOM KI
(TIRMIZI)
JANNATI HOORO KI DUA:
"YA RAB APNE ROZADAAR BANDO KO HUMARA KHAAWIND BANA
IN SE HUMARI AANKHE
&
HUM SE IN KI AANKHE THANDI HO."
(MISHKAT)
*ROZE KA KAFFARA*
EK GULAAM AAZAD KARNA
YA
MUSALSAL 60 ROZE RAKHNA
YA
DO WAQT 60 MISKINO KO KHANA KHILANA.
(BAHAR-E-SHARIAT)
0 Comments