AlaHazrat Imam Ahmad Raza Ki Wiladat 10 Shawwal 1272 Hijri (1856) Ko Bareli Sharif UP Me Hui


AlaHazrat Imam Ahmad Raza Ki Wiladat 10 Shawwal 1272 Hijri (1856) Ko Bareli Sharif UP Me Hui.
4 Sal Ki Umar Me Quran e Pak Nazra Khatm Kiya.
Apne Walid Mufti Naqi Ali Khan Se Talim Hasil Ki.
6 Sal Ki Umr Me Meelad-E-Rasool Ke Unwan Par Shandar Taqrir Farmai.
8 Sal Ki Umr Me Arbi Zaban Me 1 Kitab Likh Kar Sab Ko Hairan Kar Dia.
13 Sal 10 Mah Ki Umr Me Pahela Fatwa Likha.
55 se Ziada Uloom Par Taqriban 1000 Kitabe Likhi.
Quran E Pak Ka Urdu Zaban Me Bahetrin Tarjuma KANZUL IMAN Qaum Ko Ata Kia.
12 Jildon Par Mushtamil Fatawa Razviya Likh Kar Fiqh E Hanfi Ki Zabardast Khidmat Anjam Di.
Sari Zindagi Deen Ki Khidmat Aur ishqe Mustafa Ki Daulat Taqsim Karne Me Lage Rahe.
Duniya Ke Bade Bade Ulma Aur Fuqha Ne Aap Ko Mujaddid Tasleem Kia.
Aap Ke Natiya Kalam Ki Sari Duniya Me Dhoom Hai.
Kai University Me Aap Par Research Ho Rahi Hai.
Aap Ka Wisal 25 Safar (1921) Ko Azane Juma Ke Dauran Hua.
Share on 

Post a Comment

1 Comments