Haqooq-e-Zaujain (Husband aur Wife ke Huqooq aur Zimmedariyan)
![]() |
Ghulam-e-Raza |
Husband ke Huqooq:
Hazrat Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya: "Jab aadmi apni biwi ko apne bistar par bulaye aur woh inkar kar de aur woh (husband) us par naraaz ho kar raat guzare, to subah tak farishtay us aurat par laanat bhejte rehte hain." (Sahih Bukhari, Hadith: 3237)
1. Shukr na karne wali biwi :
Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya: "Mujhe jahannam dikhayi gayi, to us mein zyada tadad aurton ki thi jo kufr karti hain." Poocha gaya: "Kya woh Allah ka kufr karti hain?" Aap (ﷺ) ne farmaya: "Woh shohar (husband) ka kufr karti hain aur ehsaan faramoshi karti hain. Agar tum un mein se kisi ke saath poori zindagi achha sulook karo, phir woh tum mein se koi na pasandida cheez dekhe to kehti hai: 'Maine tum se kabhi koi bhalai nahi dekhi'." (Sahih Bukhari, Hadith: 29)
(Is Hadees mein "Kufr" ka matlab Allah ka kufr nahi, balki shohar ke ehsanat ko na manna aur unka shukriya ada na karna hai. Yeh Hadees biwi ko shohar ka ehteram aur shukr karne ki taleem deti hai.)
Namaz aur shohar ki itaat :
Hazrat Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya: "Jab aurat apni paanch namazein padhe, apne ramzan ke roze rakhe, apni sharmgah ki hifazat kare, aur apne shohar ki itaat kare, to us se kaha jayega: 'Jannat ke jis darwaze se chahe dakhil ho ja'." (Sahih Ibn Hibban, Hadees: 4163 / Musnad Ahmad)
Wife ke Huqooq:
Hazrat Abdullah ibn Amr ibn al-Aas (R.A.) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya: "Tumhari biwi ka tum par haq hai, aur tumhare bachcho ka tum par haq hai." (Sahih Bukhari, Hadith: 1977)
Hazrat Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya: "Auraton ke saath achha sulook karo, kyunki aurat pasli (rib) se paida ki gayi hai. Pasli mein sabse tedha hissa uska upari hissa hota hai. Agar tum usay seedha karne ki koshish karoge to tod doge, aur agar tum usay chhod doge to woh tedhi hi rahegi. Isliye, aurton ke saath achha sulook karo." (Sahih al-Bukhari, Hadith: 3331 & Sahih Muslim, Hadith: 1468a)
Sabse Barkat Wala Nikah:
Hazrat Ayesha (R.A.) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya: "Sab se zyada barkat wala Nikah woh hai jisme kharch sab se kam ho." (Musnad Ahmad, Hadith: 24591 / Mishkat al-Masabih, Hadith: 3192)
Nikah ko Aasan Banana:
Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya: "Behtareen Nikah woh hai jise aasan banaya jaye." (Abu Dawud, Hadith: 2117)
0 Comments