•»JIBRAYIL(Alaihi Salam) KI MASHAKKAT«•
HIQAYAT:-
Huzoor (SALLALLAHU TA'AALA ALAIHI WASALLAM) Ne Ek Martaba Hazrat Jibrayil Alaihi Salam Se Pucha, Aye Jibrayil! Kabhi Tujhe Aasmaan Se Mashakkat Ke Sath Badi Jaldi Aur Fauran Zameen Per Utarna Pada Hain?
Hazrat Jibrayil Ne Jawab Diya, Haan, Ya Rasoolallah! (SALLALLAHU TA'AALA ALAIHI WASALLAM) 4 Martaba Aisa Hua Hain Ki Mujhe Fauran Badi Tezi Ke Sath Zameen Per Utarna Pada!
Huzoor (SALLALLAHU TA'AALA ALAIHI WASALLAM) Ne Farmaya, Wo 4 Martaba Kis-Kis Mauke Per?
Hazrat Jibrayil (Alaihi Salam) Ne Arz Kiya-
(1) Ek To Jab Hazrat Ibrahim Alaihi Salam Ko Aag May Daala Gaya To Main Us Waqt Arsh-A-Ilahi Ke Niche Tha! Mujhe Hukm-A-Ilahi Hua Ki Jibrayil! Khaleel Ke Aag May Pahuchne Se Pehle-Pehle Fauran Mere Khaleel Ke Paas Pahucho!
Chunanche, Main Badi Tezi Ke Sath Fauran Hazrat Khaleel (Ibrahim Alaihi Salam) Ke Paas Pahucha!
(1) Ek To Jab Hazrat Ibrahim Alaihi Salam Ko Aag May Daala Gaya To Main Us Waqt Arsh-A-Ilahi Ke Niche Tha! Mujhe Hukm-A-Ilahi Hua Ki Jibrayil! Khaleel Ke Aag May Pahuchne Se Pehle-Pehle Fauran Mere Khaleel Ke Paas Pahucho!
Chunanche, Main Badi Tezi Ke Sath Fauran Hazrat Khaleel (Ibrahim Alaihi Salam) Ke Paas Pahucha!
(2)Dusri Bar Jab Hazrat Ismayil Alaihi Salam Ki Gardhan-A-Ather Per Choori Rakh Di Gayi To Mujhe Hukm Hua Ki Choori Chalne Se Pehle Zameen Per Pahuchun Aur Choori Ko Ulta Kardoon!
Chunanche, Main Choori Ke Chalne Se Pehle Hi Zameen Per Pahuch Gaya Aur Choori Ko Chalne Na Diya!
(3) Tisri Bar Jab Hazrat Yusuf Alaihi Salam Ko Bhaiyon Ne Qoonve May Giraya To Mujhe Hukm Hua Ki Yusuf Alaihi Salam Ke Qoonve Ki Teh Tak Pahuchne Se Pehle-Pehle Zameen Per Pahuchun Aur Qoonve Se Ek Patther Nikaalker Hazrat Yusuf Alaihi Salam Ko Us Patther Per Aaraam Se Baitha Doon!
Chunanche, Maine Aisa Hi Kiya!
(4) Aur Chauthi Martaba Ya Rasoolallah! (SALLALLAHU TA'AALA ALAIHI WASALLAM) jabki Kaafiron Ne Huzoor Ka Dandaane Mubarak Shaheed Kiya To Mujhe Hukm-A-Ilahi Hua Ki Main Fauran Zameen Per Pahuchun Aur Huzoor Ke Dandaane Mubarak Ka Khoon Mubarak Zameen Per Girne Na Doon! Zameen Per Girne Se Pehle Hi Main Wo Khoon Mubarak Apne Hathon May Le Loon!
Ya Rasoolallah! Khuda Ne Mujhse Farmaya Tha, Jibrayil! Agar Mere Mehboob Ka Yeh Khoon Zameen Per Girgaya To Qayamat Tak Zameen Mayse Na Koi Sabzi Ugegi Aur Na Koi Darakht!
Chunanche, Main Badi Tezi Ke Sath Zameen Per Pahucha Aur Huzoor Ke Khoon Mubarak Ko Apne Hath Per Leliya! >Roohul Bayaan, jild-3, Pg-411
SABAK:-
Ambiya-A-Kiraam Alaihimus Salam Ki Bahoat Badi Bulandh Shaan Hain, Ki Jibrayil Amin Bhi Unke Khadim Hain!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Karoadon Meel Ka Tawil Safar ALLAH Wale Pal-Bhar May Tai Kerlete Hain!
•»जिब्राईल(अलैहि सलाम) की मशक्कत «•
हुज़ूर सल्लल्लाहु -ता 'आला -अलैहि -वसल्लम ने एक मर्तबा हज़रत जिब्राईल अलैहि सलाम से पूछा , ए जिब्राईल ! कभी तुझे आसमान से मशक्कत के साथ बड़ी जल्दी और फ़ौरन ज़मीन पर उतारना पड़ा हैं ?
हज़रत जिब्राईल ने जवाब दिया , हाँ , या रसूलल्लाह ! (सल्लल्लाहु ता 'आला अलैहि वसल्लम ) 4 मर्तबा ऐसा हुआ हैं की मुझे फ़ौरन बड़ी तेज़ी के साथ ज़मीन पर उतारना पड़ा !
हुज़ूर सल्लल्लाहु ता 'आला अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया , वो 4 मर्तबा किस -किस मौके पर ?
हज़रत जिब्राईल अलैहि सलाम ने अर्ज़ किया -
(1) एक तो जब हज़रत इब्राहिम अलैहि सलाम को आग मै डाला गया तो मैं उस वक़्त अर्श -ए -इलाही के निचे था ! मुझे हुक्म -ए -इलाही हुआ की जिब्राईल ! खलील के आग मै पहुचने से पहले -पहले फ़ौरन मेरे खलील के पास पहुँचो !
चुनांचे , मैं बड़ी तेज़ी के साथ फ़ौरन हज़रत खलील (इब्राहिम अलैहि सलाम ) के पास पंहुचा !
(2) दूसरी बार जब हज़रत इस्माईल अलैहि सलाम की गर्दन -ए -अथर पर छूरी रख दी गयी तो मुझे हुक्म हुआ की छूरी चलने से पहले ज़मीन पर पहुँचूँ और छूरी को उल्टा करदूं !
चुनांचे , मैं छूरी के चलने से पहले ही ज़मीन पर पहुंच गया और छूरी को चलने ना दिया !
(3) तीसरी बार जब हज़रत युसूफ अलैहि सलाम को भाइयों ने कुंवे मै गिराया तो मुझे हुक्म हुआ की युसूफ अलैहि सलाम के कुंवे की तेह तक पहुचने से पहले -पहले ज़मीन पर पहुँचूँ और कुंवे से एक पत्थर निकालकर हज़रत युसूफ अलैहि सलाम को उस पत्थर पर आराम से बैठा दूँ !
चुनांचे , मैंने ऐसा ही किया !
(4) और चौथी मर्तबा या रसूलल्लाह ! (सल्लल्लाहु ता 'आला अलैहि वसल्लम ) जबकि काफिरों ने हुज़ूर का दन्दाने मुबारक शहीद किया तो मुझे हुक्म -ए -इलाही हुआ की मैं फ़ौरन ज़मीन पर पहुँचूँ और हुज़ूर के दन्दाने मुबारक का खून मुबारक ज़मीन पर गिरने ना दूँ ! ज़मीन पर गिरने से पहले ही मैं वो खून मुबारक अपने हाथों मै ले लून !
या रसूलल्लाह ! खुदा ने मुझसे फ़रमाया था , जिब्राईल ! अगर मेरे मेहबूब का यह खून ज़मीन पर गिरगया तो क़यामत तक ज़मीन मे से ना कोई सब्ज़ी उगेगी और ना कोई दरख़्त !
चुनांचे , मैं बड़ी तेज़ी के साथ ज़मीन पर पंहुचा और हुज़ूर के खून मुबारक को अपने हाथ पर ले लिया!> Roohul Bayaan, jild-3, Pg-411
सबक :-
अम्बिया -ए -किराम अलैहिमस सलाम की बहोट बड़ी बुलंद शान हैं , की जिब्राईल अमिन भी उनके खादिम हैं !
यह भी मालूम हुआ की करोडों मील का तवील सफर अल्लाह वाले पल -भर मै तै कर लेते हैं !
0 Comments