🌙 Eid Milad-un-Nabi ï·º – Qur’an aur Hadees ki Roshni Me

 ðŸŒ™ Eid Milad-un-Nabi ï·º – Qur’an aur Hadees ki Roshni Me



1. Eid Milad-un-Nabi ï·º Qur’an se Sabit

Allah Ta‘ala farmata hai:

“Qul bifadlillahi wa birahmatihi fabizaalika falyafrahu, huwa khairum mimma yajma‘oon.”
(Surah Yunus, 10:58)

Yani: Allah ki fazl aur uski rahmat par (logo) tum khushi manao. Ye tumhari sab jama ki hui cheezon se behtar hai.

🔹 Yahan Rahmat se murad hai Nabi-e-Paak ï·º (jaise Surah Al-Anbiya 21:107 me hai: “Wa ma arsalnaaka illa rahmatan lil ‘aalameen.”).

Isliye Nabi ï·º ki wiladat par khushi manana Qur’an se sabit hai.


2. Hadees se Dalil (Sihah-e-Sitta se)

Sahih Muslim

Nabi ï·º farmate hain:
“Zaalika yaumun wulidtu feehi.”
(Sahih Muslim, Kitab-us-Saum, Hadees no. 1162)

Yani: “Ye wo din hai jis din main paida kiya gaya.”
(Rasool ï·º apni wiladat ka zikr karte the aur is din roze rakhte the – Yawm-ul-Ithnain/ Monday.)

Sunan Abu Dawood

“Man ahabba sunnati faqad ahabbani, wa man ahabbani kana ma‘iya fil jannah.”
(Sunan Abi Dawood, Kitab-us-Sunnah, Hadees no. 4606)

Yani: “Jisne meri sunnat se muhabbat ki usne mujh se muhabbat ki. Aur jisne mujh se muhabbat ki wo jannat me mere sath hoga.”

🔹 Milad ka asal ruh Nabi ﷺ se muhabbat hai.


3. Sahaba ka Amal (Shaba ne Milaad kaise manya)

Sahaba aur Tabi‘een apni mehfilon me Nabi ï·º ki seerat aur wiladat ka zikr karte the.
🔸 Ibn Kathir (Tafsir al-Quran, vol 4, p. 414) me likhte hain ke Sahaba ikattha hote the aur Nabi ﷺ ki tareef karte the.
🔸 Jab Nabi ï·º Madina aaye to Ansar ne geet gaya: “Tala‘al badru ‘alayna…”
Ye bhi Nabi ï·º ki wiladat aur aamad par khushi manane ki sabit dalil hai.


5. Nabi ï·º Apne Wiladat ke Din Kya Karte the

Rasool Allah ï·º har Monday ko roza rakhte the.

“Zaalika yaumun wulidtu feehi wa unzila ‘alayya feeh.”
(Sahih Muslim, Hadees no. 1162)

Yani: “Ye wo din hai jis din mujhe paida kiya gaya aur ye wo din hai jis din mujh par Qur’an utara gaya.”


6. Allah Ta‘ala ka Bayan

Allah Ta‘ala farmata hai:

“Wa ma arsalnaaka illa rahmatan lil ‘aalameen.”
(Surah Al-Anbiya, 21:107)

Yani: “Humne aap (Muhammad ï·º) ko tamaam jahaan ke liye rahmat banakar bheja hai.”

🔹 Matlab: Nabi ﷺ ki wiladat Allah ki taraf se bari rehmat hai.
Aur Allah ne hukm diya hai:

“Fabizaalika falyafrahu.” (Surah Yunus, 10:58)
Yani: “Is par khushi manao.”

Post a Comment

0 Comments